Saturday, November 24, 2012

To Kuch Aur Baat Hoti.......!!



Yun to ab bhi jindagi se,
Koi sikwa nahi mujhe,
Par tum jo saath hoti,
To kuch aur baat hoti.


Din aur haseen hote,
Raatein rangeen hoti,
Khusiyon ka rahta aalam,
Aur mastiyaan hoti.


Wo sapne jo humne,
Dekhe kabhi the saath,
Wo sapne naa rahkar,
Hakiqat aaj hote,


Sun meri baatein,
Tum udas mat hona,
Main tab bhi khus tha,
Main ab bhi khus hun.


Kami ab bhi nahi hai,
Koi jindagi mein mere,
Koi sikayat nahi hai,
Aaj bhi mujhko tumse.


Bas kabhi-kabhi jab,
Ateet yaad hai aata,
To anayaas hi dil se,
Nikalati hai ye baat,
"Ki, tum paas hoti,
To kuch aur baat hoti".


Saturday, October 13, 2012

Ek Ladki….


Ek Ladki,
Kaise mili mujhse, kya bataun ab…??
Sayad, kuch meri kismat thi, kuch uska naseeb,
Kuch uska pagalpan tha, kuch mera awarapan,
Khair, jo bhi ho, jaise bhi ho,
Mil gayi mujse, ek ladki….


Thodi baatein karti thi, thodi baatein sunti thi,
Kuch gahre raaz batati thi, to Kabhi mazak udati thi,
Kabhi dil khol ke hansti thi, to kabhi bas gumshum rahti thi,
Jo bhi thi, Jaisi bhi thi, Aakhir mere dil ko,
Bha hi gayi, Ek ladki….


Kuch hi din mein, wo meri sabse achchi dost ban gayi,
Par main paagal, iss dosti ko pyaar samajh baitha,
Maine “ijjhaar” kiya, usne “inkaar” kiya,
Par inkaar mein bhi itni shaleenta, baat dil ko choo gayi,
Kaha maine, “Pyaar nahi to dost sahi, Par tum mere saath rahna”,
Meri BEST FRIEND, ban hi gayi, ek ladki….


Thodi busy wo thi, aur us-se jayaada busy main tha,
Ek doosre ke liye, tha waqt kam rahne laga,
Kuch din aise bhi rahe, jab baatein apni nahi hui,
“Out of Sight, out of mind”, ye baat mujhe bata gayi,
Ye baat mujhe bata gayi, Ek ladki….


Apne mann ki baat ko, seedhe seedhe kah jana,
Sayad meri kamjori hai, ya meri schchai hai,
Khair, jo bhi ho, yahi baat banegi meri dushman,
Iss baat ka ehsaas, Aakhirkaar mujhko,
Kara hi gayi, ek ladki….


Thoda attitude usme tha, thoda attitude mujh mein tha,
Ek din dono ke attitude ko, to takrana hi tha,
Hua bhi kuch aisa hi, “Attitude clash” ke chakkar mein,
Hum dono uljhe rahe, kya-kya kah na kah daala usko,
“Ego ko rishton ke beech, kabhi mat aane dena”, ye baat,
Ye baat bata gayi, Ek ladki….


Jaa rahi hai door mujhse, mujhko chod kar,
Main kar raha intezaar uska, aakhein moondkar,
Aayegi wo wapas, iska yakeen hai mujhe,
Par kab, ye kah nahi sakta.
Khair, jo bhi ho, jindaagi ek doosre pahloo se,
Awagat kara gayi mujhko, ek ladki….

Wednesday, September 19, 2012

Hai Yaad Aata, Wo Maasoom Bachpan……!!

Was at a beach, saw these kids playing, asked them for a photo and this picture was clicked.


Hai yaad aata,
Wo maasoom bachpan,
Wo saare khilone,
Aur naa koi ‘tension’.

                             Naa jaane kahan gum,
                             Ho gayi wo masti,
                             Jo lagti thi apni,                   
                             Ab chooti wo basti.

Jeevan naa jaane kyun,
Pareshaaniyon mein uljha,
Naa raahein hain saaf,
Naa raasta suljha.

                             Phir bhi naa jaane kyun,
                             Chalta main rahta,
                             “Kya hai teri manzil”,
                             Har raasta kahta.

Hai yaad aata,
Wo maasoom bachpan,
Wo saare khilone,
Aur naa koi ‘tension’.
         
                             Naa koi banawat,
                             Naa koi dikhawat,
                             Dil ka saaf hona,
                             Naa koi milawat.

Naa chinta kisi ki,
Naa phikr kuchi kaa,
Naa sikwa kisi se,
Naa koi sikayat.

                             Ab karta hun koshish,
                             Jab maasoom ban-ne ki,
                             ‘Cartoon’ ban jata hun,
                             Sabki nigahon mein.

Jab karta hun koshish,
Kuch dil se kahne ki,
Koi chahe naa sun-na,
So, behtar, chup rahna.
                            
                             Gile sikwe bhi hain,
                             Par bayaan kar nahi sakta,
                             Saafgoi se dil ki,
                             Baatein kah nahi sakta.

Kya sochoge 'tum',
Soch ke ‘darr’ jata hun,
Aur apni baat, dil mein,
Dafan kar jaata hun.

                             Hun chahta phir se jeena,
                             Wo maasoom bachpan,
                             Wo dher saari masti,
                             Aur naa koi tension.

Sunday, September 9, 2012

kuch ankhee baatein


बातें, जो मैं कह ना सका ......



कितनी प्यारी है वो , है वो कितनी हसीन ,
देखते ही उसे , इक नशा छा गया ।
उसकी याद़ों में तन्हा , बैठा था मैं ,
तन्हाई में भी , फिर मज़ा आ गया ।।

 -------------------------------------------------------------------------------------

तेरा वो मुस्कुराना , और मुस्कुराना और मुस्कुराना ,
और लबों की ख़ामोशी से , बिन कहे सब कुछ कह जाना ।
मेरा तेरे पास यूँ बिना कुछ सोचे खिचा चला आना ,
और तुझसे बातें करते वक़्त , कुछ का कुछ कह जाना ।।

क्या  ये सारी बातें , बस इत्तेफाक ही है,
या फिर है कुछ ऐसा हम-में , जिसे हमने अब तक ना जाना।।

 -------------------------------------------------------------------------------------

ये लब जो तुम्हारे जब हिलते हैं ,
तो लगता है , लहरें अटखेलियाँ कर रही हो,
जी करता है, तुम्हे एक-टक ,
बिना पलक झपकाये बस देखता जाऊं ।

तुम्हारी आवाज , जो सुनता हूँ ,
तो एक जादू सा छा जाता है मुझपर,
लगता है की आरसों तक ,
तुम यूँ ही कहती जाओ , और मैं चुप-चाप सुनता जाऊं ।।

 -------------------------------------------------------------------------------------

दूँ क्या उपहार, तेरे जन्मदिन पर,
गुज़ार दिये चार दिन, ये सोच-सोच कर ।
फिर भी, कुछ जवाब मिला नहीं ,
तोहफ़े में क्या दूँ , पता चला नहीं ।।

सोचा क्यूँ ना, एक मुलाकात की सौगात दूँ ,
आकर सीधे तेरे घर , तुझसे मिलूँ ।
पर है कुछ बंदिशें, कि आ नहीं सकता ,
चाह कर भी तुझसे, मिल नहीं सकता ।।

 -------------------------------------------------------------------------------------

ए जानेवाले , ए मेरे दिलनशी ,
अब याद तुझको करेंगे नहीं ,
खुश तू रहे सदा ये, चाहूँ मैं दिल से,
और रब से भी बस, यही दुआ है मेरी । 

कभी ध्यान जो तेरा आये, गर भूले से भी,
तो खुद को सम्भाल लेंगे, कुछ कहेंगे नहीं,
हाँ , तुझे मेरी जरूरत , गर हो कभी तो,
बस एक आवाज देना, ज्यादा सोचना नहीं ।।

 -------------------------------------------------------------------------------------

तेरे हुस्न की इबादत हम करेंगे ,
खुद को भूल कर भी, तुझे याद हम करेंगे ।
ए  हसीन, इक  बार हमे तू अपना कह कर तो देख,
तुम्हे जिंदगी से ज्यादा, मोहब्बत हम करेंगे ।। 



और जब कहा तो कोई समझ ना सका ......

Thursday, September 6, 2012

जिन्होने मुझे भुला दिया.....



सुना था कि,
वक्त के साथ, लोग बदल जाते है ,
लोग अपनो को भी, पराया कर देते है ,
पर मुझे इस बात पर विश्वास नही था ।

मै सोचता था कि,
कैसे लोग भूल सकते है अपनो को ,
कैसे भूल सकते है, साथ देखे सपनो को ,
कैसे कभी कोई रिश्ता टूट सकता है ,
कैसे कभी कोई साथ छूट सकता है ,

फिर मैने देखा,
लोगो की जरूरते बदलते हुए ,
कुछ रिश्ते बनते और कुछ टूटते हुए ,
कुछ खासम-खाश भी छूटते हुए ।

अब मै सोचता हू कि,
क्यो लोग भूल जाते है एक-दूसरे को ,
क्या सभी मतलबी है या सभी व्यस्त है ,
या फिर उनकी जरूरते बदल गयी है ,
या फिर हमारी जगह, किसी और ने ले ली है ।

कही सुना था कि, इस दौर मे , "GEOGRAPHICAL DISTANCE" का फ़र्क नही पडता ,
अगर ऐसा है तो फिर क्यो मेरे call का कोई जवाब नही आता ,
मेरे mail उनके spam मे क्यो जाते है ,
क्यो हम उन्हे याद नही आते है ।

एक गुजारिश है,
अगर मेरा कोई replacement मिल जाये आपको ,
तो कप्या मुझे बताने मे सकोच ना करे ,
फिर मै भी आपको ignore कर दिया करूगा ,
कभी mail, chat या call से, disturb ना करूगा ।

हा, और एक बात,
जिनके लिये मै खास हू ,
माना शब्द थोडे कडे है , पर अर्थ गहरे है ,
मै किसी को कभी भुलाता नही ,
इसलिये, "YOU PEOPLE ARE WELCOME ANYTIME"

Saturday, August 25, 2012

Mummy, aapko bahut miss karta hun......





Bahuton ne is rishte par,
Bahut kuch hai likh diya,
Sayad, kuch bhi na choda kahne ko,
Sab kuch pehle hi kah diya.

Aur kahein bhi, kyun nahi,
Ye rishta hi kuch aisa hai,
Kahan koi rishta, is JAG mein,
MAA-BETE ke jaisa hai.

Maa ke liye, uska beta,
Sabse badhkar hota hai,
Duniya se lad sakti hai wo,
Jab beta us ka rota hai.

Bete ko gar, wapas aane mein,
Ek pal ki deri hoti hai,
Maa ki vyakul aankhein us pal mein,
Sau baar ghari ko toti hain.

Khud kitni bhi ho pareshaan,
Use apne tak hi rakhti hai,
Kah kar kyun sabko takleef de,
Aisa wo socha karti hai.

Sapooton mein bhi matriprem,
Koi kam nahi hota,
Wo juban se kuch bhi kahte nahi,
Par maa ka dhyaan laga hota.

Halat aur kharab hoti hai unki,
Ghar se door, jo hote hain,
Jab bhi ghar ki yaad hai aati,
Tanhaai mein rote hain.

Inka haal poochne wala bhi,
Koi paas nahi hota,
Tabhi phone baj uthta hai,
Aur “Maa calling…” hai flash hota.

Ab inki pareshaani,
Aur bhi badh jaati hai,
Phone uthaye to ruwansi aawaj maa pehchaan jayegi,
Naa uthaye to wo yun hi chintit ho jayegi.

Phir kisi tarah se phone uthakar,
“Abhi busy hun”, wo kahta hai,
Aur maa sochti rahti hai,
Beta kitna kaam karta hai.

Udaas abhi main hona nahi chahta,
Isiliye ab bas karta hun,
Aur bas itna hi kahunga,
“Mummy, aapko bahut miss karta hun”.

Thursday, August 23, 2012

Shukriya...Tera Shukriya.......!!



Doston se hum kabhi,
Kahte nahi hain shukriya.

Kahen bhi to kya kahein,
Kis cheez ka kare shukriya ?

Saath diya har pal jo mera,
Kya iska karun main shukriya ?

Ya labon pe mere jo hansi hai,
Uska karun main shukriya ?

Kahun shukriya bhi,
To main kitni baar kahun shukriya ?

Hain wo mere dost,
Iss baat ka unko shukriya
Iss baat ka unko shukriya.


Wednesday, August 22, 2012

Barsaat ka mausam...




         "Barsaat ka mausam,
         Rimjhim girti boondein,
         Delhi ka ek bus stop,
         Aur wo bechari ladki.."

Thi tabiyat thodi si udas,
Aur partikool kuch mausam tha,
Upar thi ghiri ghanghor ghatein,
Aur chehere pe chinta ki rekhaein..

Hadbad mein phir ‘bag’ tatoli,
Or chintit ho, ‘Oh shit’ boli,
Chinta uski laajami thi,
Chatri ki jagah jo khali thi..

Wo gahre soch mein doobi hui,
Kar rahi thi bus ka intezaar,
Tabhi barish hui, aur tez,
Aur wo chinta se labrez..

Ab tak thi wo, ‘shed’ mein,
Boondo se thodi doori par,
Itne mein uski apne,
Bus par pad gayi nazar..

Tha ‘shed’ se jana bus tak usko,
Hui thodi si chintit wo,
Par ladki thodi ‘chalu’ hai,
So hui tanik na vichilit wo..

Agle hi pal usne ladkiyon ka,
‘Time-tested’ nuska apnaaya,
Bus stop pe khade ek ladke ko,
Jhat se apna “BHAI” banaya..

Chatri lekar uski,
Hui turant bus mein wo sawaar,
Aur ‘THANK YOU BHAIYA’ kahkar,
Bus ke saath hui farar..

Us ladke ki halat soch,
Mujhe ab tak hasi aa rahi hai,
Hamdardi hai us se,
Par hansi nahi jaa rahi hai..

Hun ab bhi main kuch soch raha,
Par soch thodi badal gayi hai….

“Barsaat ka mausam,
Rimjhim girti boondein,
Delhi ka ek bus stop,
         Aur wo bechara ladka..”


Monday, August 20, 2012

The FACEBOOK Girl......






Yesterday, it was SUNDAY, a holiday and as usual, I was busy on FACEBOOK. I guess the term, ‘was busy on FACEBOOK’ does not need any explanation. From nowhere, I got a friend request. It was from a girl named TANU. I accepted the request immediately. As we both were online, we started chatting. The chat went on and on and on. It crossed many domains and reached to our hobbies. I told her about my blog and asked her to go through them. She read them carefully, gave her feedback, and placed a difficult challenge in front of me. She asked me to write something about her.
            Though, we had a chat for an entire day, I still did not know her in the real world. So, I decided to write about her name rather than her character. So, I just did some findings on Wikipedia and put my opinion over her name in a rhythmic manner.
________________________________________________________________

On Monday, it was Eid-ul Fitr, again a holiday and this gave ample opportunity to talk to her. I woke up in the morning, wished my friends Eid-Mubarak, send them to mosque and then turned my laptop on. I wanted to show her my poem as soon as possible. But to my disappointment, she was not there. I had to wait for nearly an hour before she turned up. I send her the poem and asked for her feedback. She asked for some time to read it which I easily granted but on the condition of reverting as soon as she ends reading it.
She liked the poem, she admitted so, and it was also apparent from the way she was using smilies in the chat. She told that, she did not know so much meanings of her name and said that she really liked the opening lines. And when I asked for her permission to put that on my blog, she agreed readily. And then she told me that Tanu, is her calling name, but her original name is Tanuja. Slowly and gradually, as we kept on chatting, the initial jitters calmed down. We flipped topics, and keep getting more and more about each other.
She was basically from Kumaon, Uttarakhand and was living in Delhi from past 9 years with her parents and younger brother. We talked about Kumaon, about Delhi, about her father and brother. We teased as well as calmed down each other at times. When my friends returned from the mosque, I realized that I had spent nearly 4 hours chatting to her. My friends were back, and it was time to attack HALEEM, which they had brought on their way back. So, I asked for some time with a promise to catch her later in the day and started my lunch. When I returned back, she was offline. This gave me the time to do some editing to the poem, earlier it was only name based but now it is combination of the name as well as character. The edited version is here.


Tanu


Kal ek ladki ne mujhse poocha,
Mere bare mein kuch likh sakte ho,
Main bola, mujhe waqt lagela,
Kya tum thoda ruk sakti ho…??

Sun meri baat, hui naa udas wo,
Bas baat yahi mujhe bha gayi thi,
Ab likhna kuch uske bare mein,
Jaroorat meri ban gayi thi…

Main socha kyun naa naam se uske,
Shuruaati kuch chand bunoo,
Phir likha naam uska kagaj par,
Jo tha T..A..N..U (Tanu)…

Arth “Tanu” ka hota hai,
Badhiya, achcha aur sukumaar,
Milkar rahna ho pasand jise,
Ya kahe jise, "milansaar".

Kuch aisi hi hai wo ladki bhi,
Baat mujhse thi jo kar rahi,
Baatein thi uski achchi/pyari,
Aur sach kahun to bahut saari.

Kah sakta main yah shashart,
Ki hai wo bandi Sukumaar,
Tabhi to ab tak hai usko,
Teddy Bear se hi pyaar.

Ankik arth Tanu ka,
nikla “Shaantipriya”,
Shanti pasand thi wo,
Aur thi wo sabki ‘priya’.

Kami insaan ka maulik gun hai,
Aur Tanu naam apvaad nahi,
Kabhi-kabhi ye kho jate hain,
Ek ajeebo-garib tanhaai mein.

Asal naam hai tumhara Tanuja,
Jiska aarth hota hai ‘beti’,
Isiliye, gharwalon ki laadli ho,
Papa-Mummy ki ‘Pyaari Beti’.

Ab aaklan karta nahi main,
Apna nishkarsh sunata hun,
Tum ‘Shaantipriya’ to ho nahi,
Ye baat tumhe main batata hun.

Hain sapne jo aankhon mein tumhare,
Kyun jubaan pe lane se darti ho,
Bharna chahti ho udaan tum,
Par pankh failane se darti ho.

Hai din aaj paak, Eid ka,
Karta hun rab se dua,
De thuje hausla aage badhne ka,
Sapno ko poora karne ka.

Sirf socha karne walon ki,
Kashti kabhi paar nahi hoti,
Aur koshish karne walon ki,
Kabhi bhi haar nahi hoti.


            I wanted to show her this edited version, but before I could send her this poem, I noticed that she had deactivated her FACEBOOK account. And that’s why I am putting it on my blog, she knows the URL of my blog, hope she will read it from here.

Sunday, August 19, 2012

My Dad............






As it is said, 'the love is not to boast',
He never admits, though he loves me the most.

He fulfills my demand, with utmost priority,
Even if it means, delaying his necessity.

Whenever as a kid, I acted childish,
He stood beside me, to admonish.

When in adolescence, I was warm-blooded,
In guiding me, he remained cool-headed.

He was there, every now and then,
In my life, he is omnipresent.

He is my hero, he is my god,
Or to keep it simple, he is my “DAD”.


Ye Patna Hai Meri Jaan.......!!





Thodi masti, thodi shararat,
Thodi beadabi, thodi nazakat,
Apna dil ispe qurbaan,
Ye patna hai meri jaan.

Perfection humse door sahi,
Par iska humko gam nahi,
Hothon pe sada rahe muskaan,
Ye patna hai meri jaan.

Baanh chadi aur khule button ho,
Chehre par ek alag tashan ho,
Aur dabi rahe muh mein paan,
Ye patna hai meri jaan.

Hoon door abhi main sahar se apne,
Kyunki kuch sapne hain poore karne,
Par wahi laga rahe mera dhyaan,
Wo patna hai meri jaan.
Ye patna hai meri jaan.