Saturday, October 13, 2012

Ek Ladki….


Ek Ladki,
Kaise mili mujhse, kya bataun ab…??
Sayad, kuch meri kismat thi, kuch uska naseeb,
Kuch uska pagalpan tha, kuch mera awarapan,
Khair, jo bhi ho, jaise bhi ho,
Mil gayi mujse, ek ladki….


Thodi baatein karti thi, thodi baatein sunti thi,
Kuch gahre raaz batati thi, to Kabhi mazak udati thi,
Kabhi dil khol ke hansti thi, to kabhi bas gumshum rahti thi,
Jo bhi thi, Jaisi bhi thi, Aakhir mere dil ko,
Bha hi gayi, Ek ladki….


Kuch hi din mein, wo meri sabse achchi dost ban gayi,
Par main paagal, iss dosti ko pyaar samajh baitha,
Maine “ijjhaar” kiya, usne “inkaar” kiya,
Par inkaar mein bhi itni shaleenta, baat dil ko choo gayi,
Kaha maine, “Pyaar nahi to dost sahi, Par tum mere saath rahna”,
Meri BEST FRIEND, ban hi gayi, ek ladki….


Thodi busy wo thi, aur us-se jayaada busy main tha,
Ek doosre ke liye, tha waqt kam rahne laga,
Kuch din aise bhi rahe, jab baatein apni nahi hui,
“Out of Sight, out of mind”, ye baat mujhe bata gayi,
Ye baat mujhe bata gayi, Ek ladki….


Apne mann ki baat ko, seedhe seedhe kah jana,
Sayad meri kamjori hai, ya meri schchai hai,
Khair, jo bhi ho, yahi baat banegi meri dushman,
Iss baat ka ehsaas, Aakhirkaar mujhko,
Kara hi gayi, ek ladki….


Thoda attitude usme tha, thoda attitude mujh mein tha,
Ek din dono ke attitude ko, to takrana hi tha,
Hua bhi kuch aisa hi, “Attitude clash” ke chakkar mein,
Hum dono uljhe rahe, kya-kya kah na kah daala usko,
“Ego ko rishton ke beech, kabhi mat aane dena”, ye baat,
Ye baat bata gayi, Ek ladki….


Jaa rahi hai door mujhse, mujhko chod kar,
Main kar raha intezaar uska, aakhein moondkar,
Aayegi wo wapas, iska yakeen hai mujhe,
Par kab, ye kah nahi sakta.
Khair, jo bhi ho, jindaagi ek doosre pahloo se,
Awagat kara gayi mujhko, ek ladki….

2 comments: