Thursday, August 23, 2012

Shukriya...Tera Shukriya.......!!



Doston se hum kabhi,
Kahte nahi hain shukriya.

Kahen bhi to kya kahein,
Kis cheez ka kare shukriya ?

Saath diya har pal jo mera,
Kya iska karun main shukriya ?

Ya labon pe mere jo hansi hai,
Uska karun main shukriya ?

Kahun shukriya bhi,
To main kitni baar kahun shukriya ?

Hain wo mere dost,
Iss baat ka unko shukriya
Iss baat ka unko shukriya.


No comments:

Post a Comment