Saturday, April 2, 2016

Ye Kis-Se Janu Main .. ??




Gairon K Cheheron Mein,
Apno Ko Talashoon Main,
Yeh Kaisa Aalam Hai,
Ye Kis-Se Janu Main .. ??

Hai Kya Meri Pareshaani,
Hai Kya Meri Betaabi,
Kyun Tanha Tanha Hun Main,
Kya Hai Meri Majboori .. ??

Mujhko Koi Ye Bata De,
Apno Se, Mujhe Mila De,
Jane Kyun Phirta Hun Main,
Jane Kise Dhoondhta Hun Main .. ??

Yun Bheed Mein Har Chehera,
Kabhi Jana Jana Lagta Hai,
Jab Uske Peeche Main Jaata,
Koi Anjaana Hota Hai. ..!!

Gairon K Cheheron Mein,
Apno Ko Talashoon Main,
Ye Kaisa Aalam Hai,
Ye Kis-Se Jaanoo Main .. ??

Sunday, March 13, 2016

DOST ..... !!






Bhool Jaane Ko Tum, Koi Haadsa Nahi Ho,
Sunane Ko Tum Koi, Wakaya Nahi Ho ... !!

Tum Dost Ho Mere, Hum-Dum Ho Mere, 
Humraahi aur Hum-safar Ho Mere ... !!

Poojne Ko Tum, Koi Khuda Nahi Ho,
Par Dost Ho, So Us-Se, Juda Bhi Nahi Ho ... !!

Kuch To Khaas Hai .. !!


Kuch To Khaas Hai …
Kuch Tujh Mein To Baat Hai ..

Naa Dur Tujh Se Rah Paa Raha,
Naa Tujh Se Main Kah Paa Raha,
Kahin Kho Naa Dun Iss Darr Se,
Bas Khud Ko Bahla Raha .. !!

Khamosh Rakhe Hun Lafzon Ko,
Aur Mann Ki Har Armaano Ko,
Bas Tujhe Khone Ke Darr Se,
Darta Hun, Apnanane Se .. !!

Har Din Khud Ko Samjhata Hun,
Har Shaam Khud Ko Sambhalta Hun,
Phir Aati Hai Jo Raat To Aksar,
Khud Se Haar Jaata Hun .. !!

Teri Tasweer Rakh Saamne,
Aksar Main Ye Sochta Hun,
Kaise Kah Dun, Ya Waise Kah Dun,
Kya Sochegi Wo Mere Baare Mein,
Kahin Rooth Naa Jaaye, Kahin Chod Naa Jaaye,
Kahin Door Mujhse Chali Naa Jaaye …… !!

Isi Kashmakash Mein, Main Jaagta Rah Jaata Hun,
Phir Subah Hoti Hai, Ek Naya Din,
Ek Naya Daur, Ek Nayi Pahal,
Khud Ko Samjhane Ki, Khud Ko Manane Ki … !!

Bas, Yun Hi aajkal, Jindagi Gujar Rahi Hai,
Sayad Yeh Jaankar, Ab Tum Ye Naa Poochoge,
HRU?”, Kyunki, Maine Apni Dainik Uhapoh Ka,
Varnan Kar Diya Yahan … !!

Ek Choti Si Baat Hai,
Agar, Tumje Bhi Lagta Hai,
Ki Kuch Hai Humare Darmayan,
To Phir Jaroor, Mujhe Batana … !!
Warna …. Kuch Din Ke Liye, Mujhse Door Chai Jaana,

Sayad, Teri Doori Ko Main Sah Loonga,
Par Saath Hona, Aur Door Bhi,
Ye Dohra Rishta, Mujhe Khaye Jaa Raha Hai .. !!

Lekin, Hai Ye Yakeen Mujhko,
Ki Uski Jaroorat Nahi Aayegi,
Kyunki, Mujhe Iss Baat Ka Hai Bharosa,
Ki Humare Darmayaan, Kuch To Baat Hai,
Ki Humare Darmayaan, Kuch To Khaas Hai … !!

Saturday, August 8, 2015

Mere Dada-Ji ... !!

Ek Ghane Vrikcha Ki Tarah,
Di Hum-Logon Ko Chaaya,
Khud Dhoop Ki Maar Sahi,
Par Hume Raahat Pahuchaya.

Professor Se Ban Grihasth,
Bikharta Parivaar Sambhala,
Kai Pareshaniyaan Aayi,
Par Sabko Hanskar Taala.

Gharwalon Ko Di Siksha,
Sachchai, Imaan-Daari Ki,
Neki Ke Path Par Chalne Ki,
Aur Khud-Daari Ki.

Mrityu Se Pahle Tha Ehsaas,
Unko Apne Jaane Ka,
Pote Se Liya Yah Vaada,
Har Dayitva Nibhaane Ka”.

Ek Mahine Pahle Kaha Tha,
Mujhse Dadaji Ne,
Ab Waqt Ho Chala,
Jaldi Se Apne Pairon Pe Khade Ho”,
Main Paagal, Naa Samjha Unki Baat,
Kaha, “Abhi Do Saal Aur Do”.

Kiya Jo Waada Tha Dada Se,
Ab Bas Usse Nibhaana Hai,
Jo Bhi Dayitva Hain Mere,
Unhe Poora Kate Jaana Hai … !!

Saturday, May 2, 2015

Bas Is Intezaar Mein, Ki Tum Aaoge ...




Jis Mod Pe, Tum Chod Gaye The,
Har Din Us Raste Ko Dekhti Hun,
Bas Is Intezaar Mein, Ki Tum Aaoge,
Bas Is Intezaar Mein, Ki Tum Aaoge.

Waqt To Beeta, Par Zindagaani Ruki Hai,
Us Raste Pe Ab Bhi Meri, Nazarein Tiki Hain,
Dil Ne Koi Doosra, Manzil Naa Chuna Phir,
Bas Is Intezaar Mein, Ki Tum Aaoge.

Ye To Hui, Kuch Meri Baatein,
Par Meri Zindgaani, Adhoori Hai Tum Bin,
To Ab Kuch Apni, Baatein Bhi Bata Do,
Kaise Ho, Kahan Ho, Kuch To Bata Do.

Kya Ab Bhi, Der Se Ghar Aate Ho,
Kya Ab Bhi, Bure Sapno Se Darr Jate Ho,
Kya Ab Bhi, Sardiyaan Hain Pareshaan Karti,
Bata Do, Bata Do, Kuch To Bata Do.

Koi Khabar Naa Teri, Koi Naa Pata Hai,
Par Phir Bhi Mera Mann, Tumhi Par Ruka Hai,
Gar Baat Meri Pahuche, To Mujhko Batana,
Aur Ho Sake To Wapas, Tum Laut Aana.

Jab Tak Tum Khud Se, Kuch Naa Kahoge,
Karti Rahungi, Yun Hi Intezaar,
Bas Ye Sochkar, Ki Tum Aaoge,
Bas Ye Sochkar, Ki Tum Aaoge.

Sunday, May 26, 2013

Pachua Pawanein (Western Winds)


In summer days, the productivity (work efficiency) of people in Northern India, gets decreased by a great extent and in my opinion the main reason behind this is the weather condition that prevails in this part of the country. During these days, in daytime strong western wind blows, which make it almost impossible for people to get out from their home. The difference might not be clearly visible to someone who is staying there day in and day out but anyone moving to this place from down south, can easily feel the difference. In Hindi, the western winds are called as, “Pachua Pawanein”.
               
In earlier days of my life, when I was at home, these hot air waves were normal for me. But, when I went to home this time (after spending almost 1 year in south), I found those conditions somewhat difficult ant that’s what prompted to writ this poem. One more thing I want to add here, no matter how difficult is the weather condition, it is my native place, so it is and will always be close to my heart and whenever I will find a chance, I will go there.




Veeraan Raaste, Sunsaan Galiyaan,
Aur Angaar Bani Ye Dharti.
Karte Bayaan Ek Daastaan Hain,
En Bayawah Pachua Pawano Ki.

Paani Ki Ek Boond Ko Taraste,
Ye Nanhe Pyaare Se Nabhchar,
Aur Thodi Thandi Chawon Ko Ladte,
Ye Chote Chote Se Thalchar,
Raahat Ka Koi Naam Nahi,
Kyunki, Jaan Le Rahi Hain Pachua Pawanein.

Yeh Sar-Sar Karti Tej Hawayein,
Aur Dhool Udaati Aandhi,
Badan Jalate Ye Aakash Se Baraste Angaare,
Kaise Koi Rahe, En Mushkil Haalat Mein,
Kai Baar Mann Poochta Hai Yahi Sawaal,
Jab Pareshaan Karti Hain Ye Pachua Pawanein.

Sookhe Hue Khet Khalihaan,
Aur Sookhi Hui Ye Nadiyaan Hain,
Ye Sookhe Hue Hain Ped Aur Paudhe,
Aur Sookhi Hui Ye Dharti Hai,
Mrig-Marichika Ka Har Pal Dokha,
Karwaati Hain Ye Pachua Pawanein.

Aa Gaya Hoon Door Ab,
Un Badan Jhulsaati Pachua Pawano Se,
Ab Badan To Nahi Julasta Par,
Dil Ko Kahin Naa Kahin Ab Bhi,
Jhulsa Deti Hain Pachua Pawanein,
Door Hun Unse Ab, Par Phir Bhi,
Yaad Aa Rahi Pachua Pawanein,
Yaad Aa Rahi Pachua Pawanein…!!

Saturday, November 24, 2012

To Kuch Aur Baat Hoti.......!!



Yun to ab bhi jindagi se,
Koi sikwa nahi mujhe,
Par tum jo saath hoti,
To kuch aur baat hoti.


Din aur haseen hote,
Raatein rangeen hoti,
Khusiyon ka rahta aalam,
Aur mastiyaan hoti.


Wo sapne jo humne,
Dekhe kabhi the saath,
Wo sapne naa rahkar,
Hakiqat aaj hote,


Sun meri baatein,
Tum udas mat hona,
Main tab bhi khus tha,
Main ab bhi khus hun.


Kami ab bhi nahi hai,
Koi jindagi mein mere,
Koi sikayat nahi hai,
Aaj bhi mujhko tumse.


Bas kabhi-kabhi jab,
Ateet yaad hai aata,
To anayaas hi dil se,
Nikalati hai ye baat,
"Ki, tum paas hoti,
To kuch aur baat hoti".