Wednesday, August 22, 2012

Barsaat ka mausam...




         "Barsaat ka mausam,
         Rimjhim girti boondein,
         Delhi ka ek bus stop,
         Aur wo bechari ladki.."

Thi tabiyat thodi si udas,
Aur partikool kuch mausam tha,
Upar thi ghiri ghanghor ghatein,
Aur chehere pe chinta ki rekhaein..

Hadbad mein phir ‘bag’ tatoli,
Or chintit ho, ‘Oh shit’ boli,
Chinta uski laajami thi,
Chatri ki jagah jo khali thi..

Wo gahre soch mein doobi hui,
Kar rahi thi bus ka intezaar,
Tabhi barish hui, aur tez,
Aur wo chinta se labrez..

Ab tak thi wo, ‘shed’ mein,
Boondo se thodi doori par,
Itne mein uski apne,
Bus par pad gayi nazar..

Tha ‘shed’ se jana bus tak usko,
Hui thodi si chintit wo,
Par ladki thodi ‘chalu’ hai,
So hui tanik na vichilit wo..

Agle hi pal usne ladkiyon ka,
‘Time-tested’ nuska apnaaya,
Bus stop pe khade ek ladke ko,
Jhat se apna “BHAI” banaya..

Chatri lekar uski,
Hui turant bus mein wo sawaar,
Aur ‘THANK YOU BHAIYA’ kahkar,
Bus ke saath hui farar..

Us ladke ki halat soch,
Mujhe ab tak hasi aa rahi hai,
Hamdardi hai us se,
Par hansi nahi jaa rahi hai..

Hun ab bhi main kuch soch raha,
Par soch thodi badal gayi hai….

“Barsaat ka mausam,
Rimjhim girti boondein,
Delhi ka ek bus stop,
         Aur wo bechara ladka..”


No comments:

Post a Comment