Saturday, August 25, 2012

Mummy, aapko bahut miss karta hun......





Bahuton ne is rishte par,
Bahut kuch hai likh diya,
Sayad, kuch bhi na choda kahne ko,
Sab kuch pehle hi kah diya.

Aur kahein bhi, kyun nahi,
Ye rishta hi kuch aisa hai,
Kahan koi rishta, is JAG mein,
MAA-BETE ke jaisa hai.

Maa ke liye, uska beta,
Sabse badhkar hota hai,
Duniya se lad sakti hai wo,
Jab beta us ka rota hai.

Bete ko gar, wapas aane mein,
Ek pal ki deri hoti hai,
Maa ki vyakul aankhein us pal mein,
Sau baar ghari ko toti hain.

Khud kitni bhi ho pareshaan,
Use apne tak hi rakhti hai,
Kah kar kyun sabko takleef de,
Aisa wo socha karti hai.

Sapooton mein bhi matriprem,
Koi kam nahi hota,
Wo juban se kuch bhi kahte nahi,
Par maa ka dhyaan laga hota.

Halat aur kharab hoti hai unki,
Ghar se door, jo hote hain,
Jab bhi ghar ki yaad hai aati,
Tanhaai mein rote hain.

Inka haal poochne wala bhi,
Koi paas nahi hota,
Tabhi phone baj uthta hai,
Aur “Maa calling…” hai flash hota.

Ab inki pareshaani,
Aur bhi badh jaati hai,
Phone uthaye to ruwansi aawaj maa pehchaan jayegi,
Naa uthaye to wo yun hi chintit ho jayegi.

Phir kisi tarah se phone uthakar,
“Abhi busy hun”, wo kahta hai,
Aur maa sochti rahti hai,
Beta kitna kaam karta hai.

Udaas abhi main hona nahi chahta,
Isiliye ab bas karta hun,
Aur bas itna hi kahunga,
“Mummy, aapko bahut miss karta hun”.

1 comment: