Friday, August 17, 2012

HINDU KYA HAI..........????





Hindu sirf ek dharm nahi,
Ek soch, ek vichar hai.
Hindu ek vishwaas hai,
Ek sanskriti ka aadhaar hai.


Hindu ek parampara hai,
Hindu ek itihaas hai.
Hindu ek sabhyata hai,
Ye “HIND” ki pahchaan hai.


“Sahansheelta” iska bhav hai,
“Sahishnuta” iska marg hai.
“Nyaya” iska dharm kai,
Aur “satya” se ise pyar hai.


 “Mere hote, tum surakchit ho”.
Kahta hai jo, wo HINDU hai.
Manavta ki raksha sadiyon se,
Karta hai jo, wo HINDU hai.


Ho yudh agar avashyambhavi,
Burai ho achchayi par havi,
Phir bhi Shanti aur Aman ka marg,
Dikhata hai jo, wo HINDU hai.


Hai chir-pracheen sanskriti ye,
Yug-yugantar ka itihaas hai,
Par dambh tanik bhi nahi ise,
Samta mein iska vishwaas hai.


Badlaav se naa bair ise,
Karta sabko aatmasaar hai.
Isi karan “Dev” iske anginat,
Aur badh rahe lagataar hai.


Aye, dharm ke naam pe ladne walon,
“HINDU” ki paribhasha samjho.
“HIND – HINDU” poorak hain,
Is baat ko tum bhi mano.


Hindu sirf ek dharm nahi,
Ek soch, ek vichar hai.
Hindu ek vishwaas hai,
Ek sanskriti ka aadhaar hai.


Hindu ek parampara hai,
Hindu ek itihaas hai.
Hindu ek sabhyata hai,
Ye “HIND” ki pahchaan hai.

4 comments:

  1. I can only say...proud to be a HINDU....

    ReplyDelete
  2. bharat ko samajhna MOKSHA ko samlhe bina sambhaw hi nahin. Moksha ko samajh liya to kisi ke COMMENTS ki koi parwah hi nahin.

    ReplyDelete
  3. Hindustan is a country that believes in Human, and keeps humanity in the core, in each and every aspect of life. If you are able to understand this, probably you do not need any religious identity.

    Hindu is not a religion, it is a culture, it is a way of life.

    Coming to "MOKSHA", I think it is nothing more than the state of mind.

    ReplyDelete
  4. kia hindo ism me sub log braber hoty he?

    ReplyDelete