Was at a beach, saw these kids playing, asked them for a photo and this picture was clicked. |
Hai yaad aata,
Wo maasoom bachpan,
Wo saare khilone,
Aur naa koi ‘tension’.
Naa jaane kahan gum,
Ho
gayi wo masti,
Jo
lagti thi apni,
Ab
chooti wo basti.
Jeevan naa jaane kyun,
Pareshaaniyon mein uljha,
Naa raahein hain saaf,
Naa raasta suljha.
Phir
bhi naa jaane kyun,
Chalta
main rahta,
“Kya
hai teri manzil”,
Har
raasta kahta.
Hai yaad aata,
Wo maasoom bachpan,
Wo saare khilone,
Aur naa koi ‘tension’.
Naa
koi banawat,
Naa
koi dikhawat,
Dil
ka saaf hona,
Naa
koi milawat.
Naa chinta kisi ki,
Naa phikr kuchi kaa,
Naa sikwa kisi se,
Naa koi sikayat.
Ab
karta hun koshish,
Jab
maasoom ban-ne ki,
‘Cartoon’
ban jata hun,
Sabki
nigahon mein.
Jab karta hun koshish,
Kuch dil se kahne ki,
Koi chahe naa sun-na,
So, behtar, chup rahna.
Gile
sikwe bhi hain,
Par
bayaan kar nahi sakta,
Saafgoi
se dil ki,
Baatein
kah nahi sakta.
Kya sochoge 'tum',
Soch ke ‘darr’ jata hun,
Aur apni baat, dil mein,
Dafan kar jaata hun.
Hun
chahta phir se jeena,
Wo
maasoom bachpan,
Wo
dher saari masti,
Aur
naa koi tension.