Saturday, August 8, 2015

Mere Dada-Ji ... !!

Ek Ghane Vrikcha Ki Tarah,
Di Hum-Logon Ko Chaaya,
Khud Dhoop Ki Maar Sahi,
Par Hume Raahat Pahuchaya.

Professor Se Ban Grihasth,
Bikharta Parivaar Sambhala,
Kai Pareshaniyaan Aayi,
Par Sabko Hanskar Taala.

Gharwalon Ko Di Siksha,
Sachchai, Imaan-Daari Ki,
Neki Ke Path Par Chalne Ki,
Aur Khud-Daari Ki.

Mrityu Se Pahle Tha Ehsaas,
Unko Apne Jaane Ka,
Pote Se Liya Yah Vaada,
Har Dayitva Nibhaane Ka”.

Ek Mahine Pahle Kaha Tha,
Mujhse Dadaji Ne,
Ab Waqt Ho Chala,
Jaldi Se Apne Pairon Pe Khade Ho”,
Main Paagal, Naa Samjha Unki Baat,
Kaha, “Abhi Do Saal Aur Do”.

Kiya Jo Waada Tha Dada Se,
Ab Bas Usse Nibhaana Hai,
Jo Bhi Dayitva Hain Mere,
Unhe Poora Kate Jaana Hai … !!