Kuch To Khaas Hai …
Kuch Tujh Mein To Baat Hai ..
Naa Dur Tujh Se Rah Paa Raha,
Naa Tujh Se Main Kah Paa Raha,
Kahin Kho Naa Dun Iss Darr Se,
Bas Khud Ko Bahla Raha .. !!
Khamosh Rakhe Hun Lafzon Ko,
Aur Mann Ki Har Armaano Ko,
Bas Tujhe Khone Ke Darr Se,
Darta Hun, Apnanane Se .. !!
Har Din Khud Ko Samjhata Hun,
Har Shaam Khud Ko Sambhalta Hun,
Phir Aati Hai Jo Raat To Aksar,
Khud Se Haar Jaata Hun .. !!
Teri Tasweer Rakh Saamne,
Aksar Main Ye Sochta Hun,
Kaise Kah Dun, Ya Waise Kah Dun,
Kya Sochegi Wo Mere Baare Mein,
Kahin Rooth Naa Jaaye, Kahin Chod Naa Jaaye,
Kahin Door Mujhse Chali Naa Jaaye …… !!
Isi Kashmakash Mein, Main Jaagta Rah Jaata Hun,
Phir Subah Hoti Hai, Ek Naya Din,
Ek Naya Daur, Ek Nayi Pahal,
Khud Ko Samjhane Ki, Khud Ko Manane Ki … !!
Bas, Yun Hi aajkal, Jindagi Gujar Rahi Hai,
Sayad Yeh Jaankar, Ab Tum Ye Naa Poochoge,
“HRU?”, Kyunki, Maine Apni Dainik Uhapoh Ka,
Varnan Kar Diya Yahan … !!
Ek Choti Si Baat Hai,
Agar, Tumje Bhi Lagta Hai,
Ki Kuch Hai Humare Darmayan,
To Phir Jaroor, Mujhe Batana … !!
Warna …. Kuch Din Ke Liye, Mujhse Door Chai Jaana,
Sayad, Teri Doori Ko Main Sah Loonga,
Par Saath Hona, Aur Door Bhi,
Ye Dohra Rishta, Mujhe Khaye Jaa Raha Hai .. !!
Lekin, Hai Ye Yakeen Mujhko,
Ki Uski Jaroorat Nahi Aayegi,
Kyunki, Mujhe Iss Baat Ka Hai Bharosa,
Ki Humare Darmayaan, Kuch To Baat Hai,
Ki Humare Darmayaan, Kuch To Khaas Hai … !!