Saturday, April 9, 2011

Uff, ye tanha raatein……




Uff, ye tanha raatein……..
Kaatein to kaatein kaise,
Din to kat jaate hain, doston k sang,
Par kaise kate, ye tanha raatein,
Uff, ye tanha raatein………….

Ek meri hi nahi, sabki haalat hai yahi,
Kisi ke paas bhi, raat ka koi sahara nahi,
Koi laga hai phone pe apni “GF” ke saath,
To koi “Facebook” pe kar raha hai bakwaas,
Koi “C-S” khelne k bahane kar raha hai time-paas,
To koi hai movie, dekh raha anayaas.
Uff, Uff ye tanha raatein…………………

Din ke waqt to sabhi, niptaate jaroori kaam hain,
Raat ko mann mein machta “Mahasangram” hai,
Kabhi idher, kabhi udhar, par mann sthir nahi rahta,
Issi uhapoh mein, raat jaati hai gujar…..

Aur phir agle din, lagti hai doston ki mehfilein,
Aur phir waqt gujarne ka ehsaas nahi hota.
Waqt to bojhil tab hota jab aati phir sham hai,
Aur phir dhoondhne lagte hain sabhi naye bahane..

Uff, ye tanha raatein……
Kaatein to kaatein kaise,
Din to kat jaate hain, doston k sang,
Par kaise kate, ye tanha raatein..
Uff, ye tanha raatein……..

Tuesday, April 5, 2011

Mere dost mujhe bahut yaad aayenge


Shuruaat ki thi humne, ajnabiyon ki tarah,
Dil mile, dost bane, aur karwaan ban gaya.
Kabhi lagta tha 4 saal, bahut jyaada hote honge,
Ye waqt kab beeta, kuch pata bhi na chala.

Flashback:-

Jab aaya tha “Main”, tha sabse anjaan,
Thoda sahma, thoda jijhka, thoda pareshaan,
Phir dost bane, aur mila saath,
Aur hui saari muskil aasaan,
Wo jijhak gayi, aur mila vishwaas,
Aur “Main” phir “Hum” mein badal gaya.

Phir waqt ke maano pankh lage,
Naa raha hume kuch bhi dhyaan,
Apni tnadra to tab tooti,
Jab aaya 8th sem ka exam.
Phir laga ki jaise kuch din mein,
Sab apni raah chale jayenge,
“Main” kisi ko yaad aaun-na-aaun,
Mere dost mujhe bahut yaad aayenge.

On end note:-

“Main” kisi ko yaad aaun-na-aaun,
Mere dost mujhe bahut yaad aayenge.